Janmashtami mana ki shri krishna ka janmotsav hai dikhate hai ki shri krishna kya hai is srishti ke number one prince ki aaj baba ne murli mein bhi bataya ki devi-devtaon ki mahima aur parmatma ki mahima mein antar hum sabhi jaante hain, baaki sab nahi jaante. hum brahman jaante hain ki devtaon mein kya antar hai aur parmatma mein kya antar hai. toh parmatma kya hai? shanti ka sagar hai, anand ka sagar hai, gyaan ka sagar hai. aur devi-devtaon ki mahima hai – sarvagun sampann solah kala sampoorn aur sampoorn nirvikari maryada purushottam double ahinsak double tajdhari. toh devi-devtaayein kahan hote hain? isi bharat bhoomi mein. is bharat bhoomi mein rehne wale bahut bahut bhagyashali hain aur is bharat bhoomi mein rahte hue is samay bhagwan is dharti par aaya hua hai. voh brahma-mukh vanshavali brahman bane hain, voh padma padam bhagyashali hain kyunki bhagwan abhi kya banane aaya hai?
Iss bharat ko fir se swarg banane aaya hai. hum jhankiyan bhi sajate hain, raas bhi karate hain. toh yeh baat kahan ki hai? bharat ki hai. is bharat mein kiska rajya tha? devi-devtaon ka rajya tha, hamara bharat swarg tha. sabhi kya the? har nar devta tha. na ki sone ke mahal the, heere jawaharaton ki jadit thi, sher aur gaay ek ghaat par paani peete the, aapas mein bahut hi sneh pyaar tha. toh dikhaya ki shri krishna ka janm kab hua? janmashtami dikhate hain. janmashtami kyon dikhate hain? kyunki satyug mein jo first janm mein first number par shri krishna aate hain aur swayamvar ke baad radha-krishna hi lakshmi-narayan bante hain, aur lakshmi-narayan ke naam se satyug mein aath gaddiyan chalti hain, aur voh kaun hote hain?
Suryavanshi. suryavanshi devi-devtaayein wahan dikhate hain ki 8 gaddiyon mein dikhate hain ki dashrath hote hain, dashrath ke mastak par surya hota hai kyunki suryavanshi the. shastron mein toh shri krishna ko chandravamshi dikha diya hai, chatri dikha diya hai, aur ram ko suryavanshi dikha diya hai. lekin shiv baba ne aakar ke yeh raaz bataya ki shri krishna suryavanshi the. kyon suryavanshi the? kyunki sarvagun sampann the, solah kala sampoorn the, sampoorn nirvikari the. toh jo sarvagun sampann hoga, solah kala sampoorn hoga, voh pehle aayega. yeh 14 kalaon wala pehle aayega. kaun pehle aayega? suryavanshi pehle aayenge na, solah kalaon wale. toh is prithvi par sabse pehle kaun aate hain? shri krishna. aur voh bhi dikhaya piipal ke patte par. kahin-kahin dikhate hain, piipal ke patte par krishna aaye hain. piipal ke patte par koi bachcha aayega kya? maana uss samay satyug mein jab shuruaat hoti hai, shri krishna ka janm hota hai, uss samay srishti ka aakar bharat bhoomi ka aakar kaisa hota hai?
Piipal ke patte ki tarah hota hai. aur srishti ka pehla patta hai, srishti ke pehle number manushya maana devta hain shri krishna. isliye piipal ka patta dikha diya. aur pehla number toh last mein dikhaya dashrath ko dikhaya, maana dashrath tak aath gaddiyan chalti hain, wahan tak suryavanshi gharana hota hai. kyunki ram ko chandr ramchandra likha jata hai, shri krishna chandra nahi bola jata hai. kyunki shri krishna suryavanshi the aur ram se chandravamsh shuru ho jata hai. dashrath ke mastak par surya dikhate hain aur ram ke mastak par toh nahi dikhate. ram ke mastak par surya dikhana chahiye, lekin nahi dikhate. kyon nahi dikhate? kyunki wahan se chandravamsh shuru ho jata hai. ab shri krishna ko ek taraf hum keh dete hain yeh sarvagun sampann the, solah kala sampoorn the, aur doosri taraf dikhate hain ki unhone cheer churaye, voh gopikaon ko bhagaya, makhan churaya, kitni baatein dikhate hain. ek din museum dikha rahe the kisi ko, toh poocha mataji aap jaanti hain inko? haan yeh aapko acche lagte hain? yeh bahut acche lagte hain. humne kaha kyon acche lagte hain? toh unhone bola yeh leelayen karte the, isliye humko acche lagte hain. humne kaha kya-kya leelayen karte the? makhan churate the, cheer churaye the, yeh gopikaon ko bhaga kar le gaye. isliye acche the? humne kaha aaj ke samay mein koi vyakti aisa kare, koi ladka aisa kare toh kya aapko accha lagega? phir voh toh bhagwan the. toh jo bhagwan karega, log toh wahi karenge. toh vaastav mein jaisa dikhaya diya hai vaisa hai nahi. in sabhi baaton ka adhyatmik rahasya hai. cheer churaye the, gopi gopi ka snan karti thi aur voh ek din cheer chura le gaye. toh vaastav mein baat kiski hai?
gopi maana gopniya, yeh sharir hai, dikhai toh sharir de raha hai lekin is sharir ke andar kaun baitha hai? atma baithi hai. atma kya hai? gopi hai. hum sab kaun hain? gopikaayein. aur kahan snan kar rahi hain? gyaan sarovar mein snan. do prakaar ka hota hai, ek hota hai paani ka snan aur doosra hota hai gyaan ka snan. toh ab hum kya kar rahe hain? gyaan snan. aur bhagwan ne kya kaha? shiv baba ne kaha ki tum sharir nahi ho, tum atma ho. sharir kya hai? sharir toh vastra hai, is vastra ko atma ne dharan kiya hai. toh shiv baba ne kaha ki apne ko atma samjho, ashariri hokar raho aur is sharir ke bhaan ko bhool jao.