Shukdev aur Raja Janak ki Kahani
Unhonein har cheez, garbh mein hi seekh li thi. Tumhare bheetar chaudah mahan sambhavnayein hain, unhonein apne sainiko se kaha agar ek boond bhi is bartan se gir jaye to inki gardan uda dena.
Ek din, do din, teen din, chaar din woh wahi khade rahe. Ek rishi the, ek bahut adbhut rishi. Unka naam Shuk tha. Vedvyas ke bete the. Shuk ne sab kuch jo koi seekh sakta hai, saare shastra, saara gyaan, saari parampara aur sab kuch tab seekh liya tha jab woh apni maa ke garbh mein the. Unhone yeh sab kuch garbh mein seekh liya tha.
Shukdev ki Adbhut Yogya
Jab woh baahar aaye, to woh ek chhote sant ki tarah aaye. To woh ek baal brahmchari the. Kisi ne unko dikshit nahi kiya tha, par woh aise hi the.
Ek din Shuk ne socha ki unhein Vaikunth jaakar, Vishnu se milna chahiye. To woh wahan gaye. Dwaarpaalon ne unhein rok kar kaha, kya?? Woh bole, main Shuk hoon, Vedvyas ka beta. Mujhe Vishnu se milna hai. Unhonein unki taraf dekha aur bole, hum dekh sakte hain ki aap gyaan se thasathas bhare hain! Hum aapke shareer mein Ved aur Upanishad dekh sakte hain. Har shastra aapke shareer mein nazar aa raha hai, par, aapka koi guru nahi hai. Aapko andar nahi aane diya ja sakta. Wapas laut jaaiye.
Guru Ki Aavashyakta
To Shuk duvidha mein pad gaye kyunki unhone kabhi nahi socha ki yeh guru kya hote hain. Kyunki sab kuch jo koi jaan na chahega woh shuru se unke saath tha. To woh wapas aa gaye, aur apne pita se poocha. Pitashri, woh mujhe Vaikunth mein nahi ghusne de rahe, keh rahe hain ki mujhe guru ki zarurat hai, yeh kya hota hai? Mujhe woh chahiye, woh keh rahe hain ki mera gyaan paryaapt nahi hai.
Raja Janak ki Khoj
Tab Vedvyas bole, dekho, sirf ek vyakti hai jo tumhare guru ho sakte hain. Woh hain Raja Janak. Shuk bole theek hai, main wahan jaunga. Aur woh chale gaye. Wahan pahuncha, unhone mahal ke darwaze par khade hoke dekha. Mahal ko dekha, ki yeh kitna bhavya, aisho aaraam wala bhavan hai. Kitni sundarta ke saath banaya gaya hai.
Woh bole, yeh woh jagah nahi ho sakti jahan mere guru rehte honge. Yeh kuch zyada hi aaraamdayak jagah dikhti hai jo kisi adhyatmik insaan ke liye uchit nahi hai. To woh wapas laut gaye aur fir se jaake apne pita se poocha. Vedvyas bole, sirf Janak hi tumhare guru ho sakte hain.
Janak ke Sameep
Woh fir se wahan gaye aur ab jaake dekha ki Maharaj to bagiche mein apni rani ke saath aaraam kar rahe hain. Woh bole, arey yeh woh aadmi nahi ho sakta, aur fir se laut gaye. Is tarah se woh baar baar gaye aur laut aaye, barah baar. Tab terhvi baar, Vedvyas bole, dekho tumhare bheetar chaudah mahan sambhavnayein hain. 12 tumne 12 baar aane jaane mein vyarth kar di hain, ab sirf do aur bachi hain. Ab yeh tumhare upar hai.
Shuk Ka Dhairya
To Shuk mahal ke darwaze par pahunch gaye. Unhein mahal ka aishwarya pasand nahi aaya jis tarah se log badhiya malmal ke kapde pehne the unhein pasand nahi aaya. Woh bole, yeh adhyatmik jagah nahi hai. Par, kyunki unke pita ne unko chetavni di thi ki bas do avsar bache hain, agar tumne woh ganwa diye to tum sab kuch kho doge. To woh andar chale gaye aur jaake bole, mujhe Maharaj se milna hai.
Pehli ummid to unhein yeh thi ki, Shuk, Vedvyas ke bete jab aayenge, to Maharaj khud chalke unhein lene aayenge. Koi nahi aaya. Tab woh gaye aur vinati ki, mujhe Maharaj se milna hai. To Janak ne poocha, ki woh kahan khade hain. Unhone bataya wahan. Woh us jagah khade the, jahan aamtor par mahal se baahar, saara kachra pheka karte the jo jakar ek gaddhe mein girta tha.
Janak Ki Pariksha
Janak bole, unse kehna theek wahan khade rahen. Aur woh usi jagah khade rahe. Jaise hi shaam hui, woh din bhar ka kachra, wahan pheknay lage. Woh, wahi khade rahe. Ek din, do din, teen din, chaar din woh khade rahe. Kachre ke dher ne unhein poora dhak diya par woh bas khade rahe. Tab Raja Janak ne poocha, kya ho raha hai? Woh bole, woh wahi khade hain. Janak bole, unse bolo ki naha lein, unhein naye kapde do aur mere paas le aao.
To aisa kiya gaya, aur tab woh Janak ke saamne aaye. Janak bole dekho, aapke yahaan aane ke uplaksh mein maine yeh saare aayojan aur utsav rakhe hain. Kai saari cheezein yahaan ho rahi hain. Jaiye aur inka anand lijiye. Bas yeh bartan apne saath rakhna. Woh bartan, aisa tha ki woh doodh se labalab bhara tha. Woh bole, yeh bartan apne saath rakhiyega aur jo bhi aapke sammaan mein yeh aayojan rakhe gaye hain, jakar inka anand lijiye aur phir wapas yahaan aaiyega.
Dhyaan Aur Santulan
To, Shuk yeh bartan lekar jaane lage. Yeh to labalab bhara hai. Janak ne apne sainiko se kaha ki agar ek boond bhi ismein se gir jaye to inki gardan uda dena. To jab aapki, gardan ka sawaal ho to pata hai na, aap kitna sambhal kar chalenge. Bahut dhyaan se, ek bhi boond giraaye bina woh saare aayojanon mein se hoke, wapas aa gaye.
To aapne utsavon ka anand liya? Janak ne poocha. Woh bole, kaunse utsav? Main to bas is doodh ko dekh raha tha. Tab Janak bole, ab aap samajhiye ki yeh main hoon. Bas yeh dekhne ke liye ki doodh gir na jaye aapko itne dhyaan ki zarurat padi. Paramatma se nirantar jude rehne ke liye isse kahi zyada dhyaan ki zarurat hoti hai.
Shuk Ka Shishyatva
Par mujhe dekhiye, main iske bavajood apne aaspas ki har cheez mein shaamil hoon. Aap abhi bhi us sthiti mein hain ki agar aap ek cheez par dhyaan kendrit karein to doosri cheez aapse nahi ho payegi. To aapko ispar kaam karna hoga. Aur unhone Shuk ko apna shishya sweekar kar liya.
Ek aise vyakti, jinhien har koi janm se hi sant ki tarah poojta tha, jinka janm hi ek sant ki tarah hua. Par unhein iski zarurat thi. Kyunki, ek cheez hai apne antaratma se judne ke liye, sabse door ho jaana. Par uske saath sakriya bhi rehna, ek alag cheez hai.