Thakur ji ke bhakt Dhanurdas Ji Ki Adbhut Katha – Indresh Maharaj katha

Suniyega hamare Dakshin Bharat ki ek katha. Dhyan se suniyega. Dakshin mein hamare Shri Vaishnav Sampraday ka ek sthaan hai, Srirangam. Srirangam mein ek Vaishnav rehte the, jinka naam tha Dhanurdas. Dhanurdas ji roop mein bade aashakt the. Unhein sundar roop dekhna bahut acha lagta tha. Bhagwan ki kripa se unki patni bahut sundar thi. Unka vivah ho gaya aur ve apni patni ko hi dekhte rehte the. Unki patni ka roop itna lavanyamay aur madhur tha ki jab woh chalti thi, to Dhanurdas uske upar chhatra lekar ulte chalte the aur use dekhte rehte the.

Ek baar Shri Rangnath Bhagwan ki palki yatra nikal rahi thi aur usi samay Dhanurdas apni patni ko lekar kahin ja rahe the. Ve chhatri lekar ulte chal rahe the aur patni ko dekhte hue chal rahe the. Jaise hi ve nikle, log unka upahaas karne lage. Sab log aapas mein baatein banane lage aur unki hanshi udane lage. Bhashya ke Swami Shri Ramanujacharya ji ki drishti jab un par padi, to unhone apne sevakon se kaha, “Is vyakti ko mere paas bulakar lao.”

Dhanurdas ji Swami ji ke paas gaye. Swami ji ne kaha, “Aaj Rangnath Bhagwan ki yatra nikal rahi thi aur tum apni patni ke upar chhatra lekar ulte chal rahe the.” Dhanurdas bole, “Maharaj, mujhe apni patni se bahut prem hai. Uska roop bahut sundar hai. Mera mann hota hai ki jab main use bahar lekar jaun, to us par dhoop na pade aur main uska roop niharta rahun. Isliye main ulta chalta hun.”

Ramanuj Swami ji ke mann mein yeh bhav aaya ki aisi nishtha, aisa chintan aur aisa samarpan yadi koi Thakur ji ke liye kar de, to Thakur ji prasann ho jayein aur prakat ho jayein. Ramanuj Swami ji ne kaha, “Yadi tumhari patni se sundar koi dikh gaya to kya karoge?” Dhanurdas bole, “Ho hi nahi sakta. Meri patni se sundar koi nahi hoga sansar mein.” Ramanuj Swami ji bole, “Agar humne dikhadiya to?” Dhanurdas bole, “Main vachan deta hun ki sada sarvada ke liye antim praan swas paryant uska das ho jaunga, agar meri patni se sundar koi ho.”

Acharya ki baat Thakur ji maante hain. Ramanuj Swami ji ne turant haath jodkar Thakur ji se prarthana ki, “Naath, yeh aapki bhakti ke yogya hai. Ismein gun poore hain, nishtha poori hai, samarpan poora hai. Bas sansar ke prati hai, aapke prati ho jaye to yeh aapka ek number bhakt hai. Kripa karke ise darshan kara do.”

Itne mein hi sankh, chakra, gada, padma dharan kiye Shriman Narayan Bhagwan sir par mukut dharan karke sundar mudiya jadit hain aur aise kamal netra Bhagwan mand mand muskurate hue prakat hue. Ramanujacharya ji bole, “Dekho.” Dhanurdas ne jaise hi darshan kiya, woh mantramugdh ho gaya aur anandit ho gaya. Ek kshan dikhne ke baad Thakur ji antardhyan ho gaye. Jaise Thakur ji antardhyan hue, Dhanurdas Ramanujacharya ji ke charanon mein gir gaya aur bola, “Mujhe fir se darshan kara do.”

Ramanujacharya ji bole, “Ab sada ke liye inke das ban jao. Jaise apni patni ke das ban gaye, waise inke das ban jao.” Ab Dhanurdas ke chitt mein aisi bhavna aa gayi ki ab patni ka roop suhaata hi nahi hai. Woh ghar gaya aur patni ko lekar aaya. Patni boli, “Aaj chhatri nahi uthaaoge?” Dhanurdas bole, “Nahi, chhatri vatri chhodo. Chalo tum Ramanuj Swami ji ke charanon mein jakar kaho, ‘Isko bhi unhi ka das bana do.’ Dono milkar bhajan karenge.”

Swami ji ki kripa se dampati bhagavat bhakt ho gaye. Ab batao, Dhanurdas ka na to bhajan tha, na to naam jap tha, na jeevan mein koi bhi aisi yogyata thi. Keval bhajananand mahapurush ki drishti pad gayi aur usse uske chitt mein bhajan bhav prakat ho gaya. Bhagwan yahi to keh rahe hain, “Maiya, mann ko sudharne ka ek hi tareeka hai. Jo mera smaran karte hain, mera bhajan karte hain, mera chintan karte hain, mere dhyan mein sadaiv rehte hain, unke beech mein jaya karo. Kya pata kab woh prem bhar ke tumko dekh lein. Unki kripa se hi mann sudhar sakta hai, Maiya. Aur koi upay nahi mann ko sudharne ka.” Aise Bhagwan upadesh de rahe hain.

Is prakar Devbati Mata ne anek prashna kiye. Samast prashnon ko hum pranam karte hain. Aage Maiya ne chaar prakar ke bhakton ke baare mein poocha. Yeh bahut badhiya prasang hai. Chaar prakar ke bhakt hote hain. Bhagwan se poocha gaya, “Aapko kaun se priy hote hain?” Tab Thakur ji ne apne priy bhakton ke baare mein bataya. Chaar prakar ke bhakton ke baare mein to hum nahi karte charcha, bada hoga vishay. Bhagwan ko jo priy hain, unke baare mein sun lo. Thakur ji keh rahe hain, “Salokya, Shaasti, Samya, Saarupya, aur Ekatvam, paanch prakar ki mukti hoti hai. Pehli mukti ka naam Salokya Mukti. Salokya Mukti ka matlab hai ki aapko Bhagwan ka lok mil jayega. Jis lok mein Bhagwan rehte hain, us lok ki prapti ho jana Salokya Mukti. Doosri mukti batayi Shaasti. Us lok mein bhi Bhagwan ke darshan ki suvidha aapko mil jayegi. Salokya Mukti mein darshan honge Bhagwan ka, iska confirmation nahi hai. Ghoomte raho, kabhi na kabhi to dikh hi jayenge. Lekin Shaasti Mukti mein Bhagwan ke darshan ki bhi suvidha hai. Teesri mukti batayi Samya. Teesri mukti kaun si? Bole Thakur ji ke sameep mein rehne ka avsar milega. Samya. Chauthi mukti batayi Saarupya. Bhagwan ke jaisa hi roop mil jayega. Aur paanchvi mukti batayi Ekatvam. Bhagwan mein hi vilin ho jaoge. Lekin Bhagwan kehte hain, “Mujhe jo bhakt priy hote hain, Maiya, woh kaise hote hain?” Bole, “Diya maan na grahan. In paanchon prakar ki muktio se upar hain.”

Shri Namdev ji Maharaj Pandrinath Bhagwan prasann ho gaye. Unse maango, “Kya chahiye?” Namdev ji kehte hain, “Jo maangoonga, woh doge?” Bole, “Haan.” Pandharpur aane wale aur aapke darshan ko aane wale har Vaishnav ki charan raj mere sir par pade, aisa vardaan de do. Yeh priy hai Thakur ji ko. Aur aaj bhi Shri Namdev ji mukhya dwar par hi samadhi liye hue hain. Namdev ji wahi viraj rahe hain. Aisi bhakti, aisa prem maangne wale hamare Braj mein gaate hain, “Kaha karu Vaikunth hi jaye, jahan nahi Nand, jahan nahi Yashoda, jahan nahi gopi gval.”

Brajwasi gaa rahe hain, “Hum kya karenge Vaikunth jakar? Humein nahi chahiye Vaikunth.” Ek katha aati hai Bhagwat mein. Ek baar Brajwasiyon ko pata chal gaya ki Thakur ji Bhagwan hain. Sab Brajwasiyon ne Thakur ji ko gher liya aur bole, “Lala, tu Bhagwan hai?” Thakur ji bole, “Main kehta rahun ki main Bhagwan hoon,

Leave a Comment